Reshton Ki Dhoop Chaaon Se Aazaad Ho Gaye Ab Tou Hamein Bhi Sare Sabaq Yaad Ho Gaye
Reshton Ki Dhoop Chaaon Se Aazaad Ho Gaye
Ab Tou Hamein Bhi Sare Sabaq Yaad Ho Gaye
Aabadiyun Mein Hote Hein Barbad Kitne Log
Hum Dekhne Gaye Thay Tou Barbad Ho Gaye
Main Parbaton Se Ladta Raha Aur Chand Log
Geeli Zameen Khod Kar Farhad Ho Gaye
Baithay Hoe Hein Qeemti Sofon Pe Bhaidiye
Jangal Ke Log Shehar Mein Aabaad Ho Gaye
Lafzon Ke Her Pher Ka Dhanda Bhi Khoob Hai
Jahil Hamare Shehar Mein Ustad Ho Gaye
Comments
Post a Comment