Shauq Ko Aazim e Safar Rakhiye Be-khabar Ban ke Sab Khabar Rakhiye
Twenty years from now you will be more disappointed by the things you didn’t do than by the ones you did do.
So throw off the bowlines, sail away from the safe harbor. Catch the trade winds in your sails. Explore. Dream. Discover.
Mark Twain
************
Shauq Ko Aazim e Safar Rakhiye
Be-khabar Ban ke Sab Khabar Rakhiye
Chahe Nazrein Ho Aasmanon Par
Paon Lekin Zameen Par Rahkhiye
Baat Hai Kya Yeh Kaun Parkhega
Aap Lehze Ko Pur-asar Rakhiye
Jaane Kis Waqt Kooch Karna Ho
Apna Saaman Mukhtasar Rakhiye
Dil Ko Khud Dil Se Raah Hoti Hai
Kis Liye Nama Bar Rakhiye
Aik Tuk Mujh ko Dekhe Jati Hain
Apni Nazron Pe Kuch Nazar Rakhiye
Nikhat Iftikhar
Comments
Post a Comment