Tha bahut khush jo bhula ke mujh ko Aaj roya galay laga ke mujh ko



Tha bahut khush jo bhula ke mujh ko
Aaj roya galay laga ke mujh ko
Uss ne pehla sawaal yeh poocha
“Tum ko kaisa laga ganwa ke mujh ko
Zindagi ne to aazmaaya hai
Dekh lo tum bhi aazma ke mujh ko
Uss ne raasta badal liya apna
Pyar ki raah par chala ke mujh ko
De gaya umer bhar ke aansoon
Jo Kabhi hansta tha hansa ke mujh ko
Ajeeb shakhs tha, jaate hue woh
Khud bhi roya bahut rula ke mujh ko
Mujh ko patthar bana ke kehta hai
Jaan, dekho na muskura ke mujh ko

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai