Ye Waqt Sab Ke Liye Sabar Aazma Hai Janaab Keh Rahzan Hi Bana Dekho Rahnuma Hai Janaab
یہ وقت سب کے لیے صبر آزما ہے جناب
کہ راہزن ہی بنا دیکھو راہنما ہے جناب
Ye Waqt Sab Ke Liye Sabar Aazma Hai Janaab
Keh Rahzan Hi Bana Dekho Rahnuma Hai Janaab
اڑے جو ضد پہ تو اپنی بھی یہ نہیں سنتا
یہ دل ہمیشہ سے ایسا ہی سر پھرا ہے جناب
Aday Jo Zid Peh Tou Apni Bhi Ye Nahi Suntay
Ye Dil Hamaisha Se Aisa Hi Sar Phaira Hai Janaab
ملے گا ہم کو بھی ساحل، ابھی بھنور ہے تو کیا
کوئی ہماری بھی کشتی کا ناخدا ہے جناب
Mily Ga Hum Ko Bhi Sahil , Abhi Bhanwar Hai Tou Kia
Koi Humari Bhi Kashti Ka Na-Khuda Hai Janaab
جی میں نے مان لیا سر کیا ہے خم اپنا
میرے علاوہ ہر اک شخص پارسا ہے جناب
Jee Main Ne Maan Lia Sar Kia Hai Kham Apna
Mere Elawah Har Shakhs Paarsa Hai Janaab
بتاؤں کیوں ہے چمک آنکھ میں، ہنسی لب پر
بہت حسین یہ یادوں کا سلسلہ ہے جناب
Bataoun Kion Hai Chamak Aankh Mein , Hansi Lab Par
Buhat Haseen Ye Yadoon Ka Silsilah Hai Janaab
یہ دل جو رہتا نہیں اب میرا ٹھکانے پر
یہ آپ ہی کی عنایت ہے اور عطا ہے جناب
Ye Dil Jo Rehta Nahi Ab Mera Thikanay Par
Ye Aap Hi Ki Inayat Hai Aur Aata Hai Janaab
فرزانہ ساجد
Farzana Sajid

Comments
Post a Comment