Woh Aksar Mujhe Khud Se Bhi Tod Deta Hai Phir Muskurata Hoa Aata Hai Khud Hi Jod Deta Hai

 

 

ﻭﮦ ﺍﮐﺜﺮ ﻣﺠﮭﮯ ﺧﻮﺩ ﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﺗﻮﮌ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
ﭘﮭﺮ ﻣﺴﮑﺮﺍﺗﺎ ﮨﻮﺍ ﺁﺗﺎ ﮨﮯ ﺧﻮﺩ ﮨﯽ ﺟﻮﮌ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
Woh Aksar Mujhe Khud Se Bhi Tod Deta Hai
Phir Muskurata Hoa Aata Hai Khud Hi Jod Deta Hai

( ﻭَﺍَﻧَّﻪٝ ﻫُﻮَ ﺍَﺿْﺤَﻚَ ﻭَﺍَﺑْﻜٰﻰ
ﻭﮦ ﮨﻨﺴﺎﺗﺎ ﮨﮯ ﻭﮨﯽ ﺭﻻﺗﺎ ﮨﮯ ... ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ )

ﭘﮩﻠﮯ ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻋﺠﺐ ﻧﻤﯽ ﺳﯽ ﺑﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﭘﮭﺮ ﺍﻥ ﻣﯿﮟ ﮨﻨﺴﺘﯽ ﻗﻮﺱ ﻗﺰﺡ ﭼﮭﻮﮌ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
Pehle Meri Aankhon Mein Ajab Nami See Bharta Hai
Phir Un Mein Hansti Qous o Qazah Chod Deta Hai

( ﻓﺎﻥ ﻣﻊ ﺍﻟﻌﺴﺮ ﯾﺴﺮﺍ ... ﺍﻥ ﻣﻊ ﺍﻟﻌﺴﺮ ﯾﺴﺮﺍ )

ﻣﯿﮟ ﺧﻮﻓﺰﺩﮦ ﮨﻮﮞ ﺗﻮ ﻣﺠﮫ ﻣﯿﮟ ﯾﻘﯿﻦ ﺑﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﮔﺮ ﺑﺪﮔﻤﺎﮞ ﮨﻮﮞ ﺗﻮ ﭘﮑﮍ، ﺟﮭﻨﺠﮭﻮﮌ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
Main Khofzadah Hoon Tou Mujh Mein Yaqeen Bharta Hai
Gar Bad-Guman Hoon Tou Pakad , Jhanjhod Deta Hai

( ﺍﻣﻦ ﯾﺠﯿﺐ ﺍﻟﻤﻀﻄﺮ .. ﻭﮬﻮ ﻣﻌﮑﻢ ﺍﯾﻦ ﻣﺎ ﮐﻨﺘﻢ )

ﮐﺒﮭﯽ ﻋﻄﺎ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﻋﺠﺐ ﺳﮑﻮﻥ ﮐﺎ ﻋﺎﻟﻢ
ﮐﺒﮭﯽ ﺷﻮﺭ ﺍﮎ ﻋﺠﺐ ﺳﺎ ﻭﮦ ﭼﮭﻮﮌ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
Kabhi Aata Karta Hai Ajab Sukoon Ka Aalam
Kabhi Shor Ik Ajab Sa Woh Chod Deta Hai

( ﺍﻻ ﺑﺬﮐﺮ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻄﻤﺌﻦ ﺍﻟﻘﻠﻮﺏ )

ﮐﺒﮭﯽ ﺍﭘﻨﯽ ﭼﺎﮦ ﻣﯿﮟ ﻣﺠﮭﮯ ﺑﮯ ﺣﺪ ﺗﮭﮑﺎﺗﺎ ﮨﮯ
ﭘﮭﺮ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﺱ ﮐﻮ ﭘﺎﻧﮯ ﮐﯽ ﻧﺌﯽ ﺩﻭﮌ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
Kabhi Apni Chah Mein Mujhe Be-Had Thaka Deta Hai
Phir Mujhe Usko Paane Ki Nayi Dod Deta Hai

( ﻭﺍﻟﯽ ﺭﺑﮏ ﻓﺎﺭﻏﺐ  ﻓﻔﺮﻭﺍ ﺍﻟﯽ ﺍﻟﻠﮧ )

ﻣﯿﮟ ﺍﺳﯽ ﮐﺎ ﺗﮭﺎ ، ﺑﺲ ﺍﺳﯽ ﮐﺎ ﮨﻮﮞ
ﯾﮧ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﺟﺐ ﺳﻨﮯ ﺍﻣﺘﺤﺎﮞ ﺍﻭﺭ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
Main Usi Tha , Bas Usi Ka Hoon
Ye Mujh Se Jab Sunay Imtehan Aur Deta Hai

( ﺍﻧﺎ ﻟﻠﮧ ﻭﺍﻧﺎ ﺍﻟﯿﮧ ﺭﺍﺟﻌﻮﻥ )

ﮐﺒﮭﯽ ﺑﺖ ﺑﻨﻮﺍﺗﺎ ﮨﮯ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﻣﯿﺮﯼ ﺁﺯﻣﺎﺋﺶ ﮐﻮ
ﭘﮭﺮ ﺧﻮﺩ ﺟﻠﻮﮦ ﮔﺮ ﮨﻮ، ﺭﻭﺑﺮﻭ ﺍﺳﮯ ﭘﮭﻮﮌ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
Kabhi Butt Banwata Hai Mujh Se Meri Aazmaesh Ko
Phir Khud Jalwagar Ho , Roo-Ba-Roo Usay Phod Deta Hai

( ﻻ ﺍﻟﮧ ﺍﻻ ﺍﻟﻠﮧ .. ﺍﻟﮭﮑﻢ ﺍﻟﮧ ﻭﺍﺣﺪ ﻻ ﺍﻟﮧ ﺍﻻﮬﻮ ﺍﻟﺮﺣﻤﻦ ﺍﻟﺮﺣﯿﻢ )

ﺍﺷﮏ ﻣﯿﺮﮮ ﻭﮦ، ﺑﮍﯼ ﻣﺤﺒﺖ ﺳﮯ ﭼﻨﺘﺎ ﮨﮯ
ﻣﯿﮟ ﺗﮭﮏ ﺍﮔﺮ ﺟﺎﺅﮞ، ﺍﮎ ﻧﯿﺎ ﻣﻮﮌ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
Ashk Mere Woh , Badi Muhabbat Se Chunta Hai
Main Thak Agar Jaoun , Ik Naya Mod Deta Hai

( ﺭﺏ ﺍﻧﯽ ﻣﻐﻠﻮﺏ ﻓﺎﻧﺘﺼﺮ . ﺣﺴﺒﻨﺎ ﺍﻟﻠﮧ ﻭﻧﻌﻢ ﺍﻟﻮﮐﯿﻞ .. ﻧﻌﻢ ﺍﻟﻤﻮﻟﯽ ﻭ ﻧﻌﻢ ﺍﻟﻨﺼﯿﺮ . ﻭﻟﺴﻮﻑ ﯾﻌﻄﯿﮏ ﺭﺑﮏ ﻓﺘﺮﺿﯽ )

ﺟﺐ ﺗﮭﺎﻣﺎ ﮨﮯ ﻣﯿﺮﺍ ﮨﺎﺗﮫ ﺗﻮ ﺑﮭﻼ ﻓﮑﺮ ﮨﻮ ﮐﯿﺴﯽ
ﺑﺲ ﺍﺱ ﺑﺎﺕ ﭘﺮ ﻭﮦ، ﮨﻤﯿﺸﮧ ﺯﻭﺭ ﺩﯾﺘﺎ ﮨﮯ
Jab Thama Hai Mera Haath Tou Bhala Fikar Ho Kaisi
Bas Is Baat Par Woh , Hamaisha Zor Deta Hai

(ﺍﻥ ﺍﻟﻠﮧ ﻣﻊ ﺍﻟﺼﺎﺑﺮﯾﻦ .. ﻭﺍﻟﻠﮧ ﯾﺤﺐ ﺍﻟﻤﺘﻮﮐﻠﯿﻦ)


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha