Bhanwar Aane Ko Hai Ae Ahl e Kashti Na-Khuda Chun Lein Chatanon Se Jo Takraaye Woh Sahil Aashna Chun Lein



 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡

بھنور آنے کو ھے اے اہلِ کشتی ناخدا چُن لیں
چٹانوں سے جو ٹکرائے وہ ساحل آشنا چُن لیں
Bhanwar Aane Ko Hai Ae Ahl e Kashti Na-Khuda Chun Lein
Chatanon Se Jo Takraaye Woh Sahil Aashna Chun Lein

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
زمانہ کہہ رھا ھے مَیں نئی کروٹ بدلتا ھوں
انوکھی منزلیں ھیں کچھ نرالے رہنما چُن لیں
Zamana Keh Raha Hai Main Nai Karwat Badalta Hoon
Anokhi Manzilein Hein Kuch Niraly Rahnuma Chun Lein

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
اگر شمس و قمر کی روشنی پر کُچھ اجارہ ھے
کِسی بے دَرد ماتھے سے کوئی تارِ ضیا چُن لیں
Agar Shams o Qamar Ki Roshni Par Kuch Ijarah Hai
Kisi Be-Dard Maathay Se Koi Taar e Zia Chun Lein

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
یقینا اب عوامی عَدل کی زنجیر چھنکے گی
یہ بہتر ھے کہ مُجرم خود ھی جُرموں کی سَزا چُن لیں
Yaqeenan Ab Awami Adal Ki Zanjeer Chankey Gi
Ye Behtar Hai Keh Mujrim Khud Hi Jurmon Ki Saza Chun Lein

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
اسیری میں کریں حُسنِ گلستاں کی نگہبانی
قفس میں بیٹھ کر طائر ذرا رنگِ فضا چُن لیں
Aseeri Mein Karein Husn e Gulistan Ki Nigahbani
Qafas Mein Baith Kar Taer Zara Rang e Fiza Chun Lein
 

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
بگولے نکہتِ گل کے نمائندے کہاں ساغر
سُنیں جو بات پُھولوں کی وہ ہمرازِ صبا چُن لیں
Bagoly Nikhat e Gul Ke Numaenday Kahan SAGHAR
Sunein Jo Baat Phoolon Ki Woh Humraaz e Saba Chun Lein

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui

💜💜💜🧡🧡🧡


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo