Jis roz humara kooch hoga phoolon ki dukaanain band hongin



Jis roz humara kooch hoga
phoolon ki dukaanain band hongin
sheereen sukhanoun k herf e dushnaam
be mehar zubaanain band hongin
palkon pe nami ka ziker hi kia
yaadon ka suraagh tak na hoga
humwari e her nafs salaamat
dil per koi daagh tak na hoga
paamaali e khwaab ki kahani
kehne ko charaagh tak na hoga
maabood !is aakhri safer main
tanhaayi ko surkhroo hi rakhna
juz tere koi nahin nigahdaar
us din bhi khayaal too hi rakhna
jis aankh ne umer bhar rulaaya
us aankh ko be wuzoo hi rakhna
JIS ROZ HAMARA KOOCH HO GA
PHOOLON KI DUKAANEN ,BND HON GI


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai