Posts

Showing posts from April, 2024

Hazar fitne teh e pa e naz e khak nasheen Har ek nigah khumar e shabab se rangeen

Image
ہزار فتنــــے تہِ پائے ناز خاک نشیں ہر اک نگاہ خمــــارِ شباب سے رنگیــــں شباب جس سے تخیّل پہ بجلیاں برسیں وقار جس کی رفاقت کو شـــوخیاں ترسیں فیض احمــــــد فیض Hazar fitne teh e pa e naz e khak nasheen Har ek nigah khumar e shabab se rangeen Shabab jis se takhayyul pe bijliyan barsen Waqar jis ki rafaqat ko shokhiyan tarsen Faiz Ahmed Faiz

Main nazar bhar ke tere jism ko jab dekhta hoon Pehli barish mein nahaya sa shajar lagta hai

Image
میں نظر بھر کے ترے جسم کو جب دیکھتا ہوں پہلی بارش میں نہایا سا شجر لگتا ہے تیری قربت کے یہ لمحے اسے راس آئیں کیا صبح ہونے کا جسے شام سے ڈر لگتا ہے وسیم بریلوی Main nazar bhar ke tere jism ko jab dekhta hoon Pehli barish mein nahaya sa shajar lagta hai Teri qurbat ke ye lamhe usay raas ayen kia Subh home ka jise sham se dar rehta hai Waseem Barelvi

Hasti ko muhabbat mein fana kaun kare ga Ye farz zamane mein ada kaun kare ga

Image
ہستی کو محبت میں فنا کون کرے گا یہ فرض زمانے میں ادا کون کرے گا ہاتھوں کی لکیروں کو ذرا دیکھ نجومی بتا مجھ کو، میرے ساتھ وفا کون کرے گا Hasti ko muhabbat mein fana kaun kare ga Ye farz zamane mein ada kaun kare ga Hathon ki lakeeron ko zara dekh najumi Bata mujh ko, mere sath wafa kaun kare ga

Kehte hain, dard e hijr se kyun mar gaye na tum Lo aur suniye ye bhi hamara qusoor tha

Image
کہتے ہیں، درد ہجر سے کیوں مر گئے نہ تم لو اور سنیے یہ بھی ہمارا قصور تھا Kehte hain, dard e hijr se kyun mar gaye na tum Lo aur suniye ye bhi hamara qusoor tha

Neem-Wa See Sharbati Aankhein An-Kahi Ko Karein Kahi Aankhein

Image
نیم وا سی وہ شربتی آنکھیں ان کہی کو کریں کہی آنکھیں Neem-Wa See Sharbati Aankhein An-Kahi Ko Karein Kahi Aankhein دل کی دھڑکن کو تیز کرتی ہیں ایک کھڑکی سے جھانکتی آنکھیں Dil Ki Dhadkan Ko Tez Karti Hein Aik Khidki Se Jhankti Aankhein تیری دنیا میں آ کے دیکھا ہے دیکھتے کان بولتی آنکھیں Teri Dunya Mein Aa Ke Daikha Hai Daikhte Kan Bolti Aankhein جو کہ پتھر بھی توڑ دیتی ہیں ایسی ہوتی ہیں واقعی آنکھیں Jo Keh Pathar Bhi Tod Daiti Hein Aisi Hoti Hein Waqiee Aankhein ایک بھونچال کی علامت ہیں ہلکی ہلکی یہ کانپتی آنکھیں Aik Bhoonchal Ki Alamat Hein Halki Halki Yeh Kanpti Aankhein   دیکھ دیوار و در پہ اُگ آئیں غم سے پتھرائی حیرتی آنکھیں Daikh Deewar o Dar Peh Ug Aaein Gham Se Pathraai Hairti Aankhein کتنے لہجے تراش لیتی ہیں خامشی میں وہ بولتی آنکھیں Kitne Lahje Tarash Laiti Hein Khamshi Mein Woh Bolti Aankhein جیسا منظر ہو ویسی ہو جائیں ایک چہرے پہ ہیں کئی آنکھیں Jaisa Manzar Ho Waisi Ho Jaein Aik Chehre Peh Hein Kai Aankhein   ہیں ابھی تک تلاشِ گمشدگاں گھر کی دیوار میں چنی آنکھیں Hein ...

Ghazal was written on my face Her eyes saying lion

Image
Ghazal was written on my face Her eyes saying lion Ghazal was written on my face Her eyes saying lion Parveen Shakir परवीन शाकिर

Jee main aata ha karen Qaed sabhi rangun ko Aik hanste huye tasveer bana len teri

Image
جی میں آتا ہے کریں قید سبھی رنگوں کو  ایک ہنستی ہوئی تصویر بنا لیں تیری  ایک حسرت ہے جئیں عمر کو چند لمحوں میں  ایک حسرت ہے کوئی شام چرا لیں تیری ثروت مختار Jee main aata ha karen Qaed sabhi rangun ko Aik hanste huye tasveer bana len teri Aik hasrat ha Jeyen Umer ko Chand lamhun main Aik hasrat ha koi Shaam chura len teri Sarwat Mukhtar

Rakh ke saamne tu meri tasveer dekh Zara uttha ke tu meri tehreer dekh

Image
Rakh ke saamne tu meri tasveer dekh Zara uttha ke tu meri tehreer dekh Tawaf kiya hai apni wafao ka mene Dil ke Auraak pe khinchi ye lakeer dekh रख के सामने तू मेरी तस्वीर देख जरा उठा के तू मेरी तहरीर देख तवाफ किया है अपनी वफाओं का मेने दिल के औराक पे खींची ये लकीर देख

Muhabbat kia hai, ehl e ilm janen Humen adat tumhari ho gaiy hai

Image
محبت کیا ہے، اہلِ علم جانیں ہمیں عادت تمہاری ہو گئی ہے Muhabbat kia hai, ehl e ilm janen Humen adat tumhari ho gaiy hai

Le gaiy cheen ke jo hanste huay chehron ko Ghar se niklen to wo manhoos sadak ati hai

Image
لے گئی چھین کے جو ہنستے ہوئے چہروں کو گھر سے نکلیں تو وہ منحوس سڑک آتی ہے   یاسررضاآصفؔ Le gaiy cheen ke jo hanste huay chehron ko Ghar se niklen to wo manhoos sadak ati hai Yasir Raza Asif

Kabhi youn bhi aa mere Ro-ba-ro Tujhe pass paa ke main Ro Paron

Image
Kabhi youn bhi aa mere Ro-ba-ro Tujhe pass paa ke main Ro Paron Mujhe manzil e Ishq pe ho yaqeen Tujhe dharkanu mein suna keron Kabhi Saja Loon Tujh Ko Aankhon Mein Kabhi Tasbeehon Peh Parha Karon Kabhi Choom Loon Tere Haathon Ko Kabhi Tere Dil Mein Basa Karon

Tere Piyar Da Qaidi Mar Waisi Be-Rukhiyan Naal Zaleel Na Kar

Image
تیرے پیار دا قیدی مر ویسی بے رخیاں نال زلیل نہ کر Tere Piyar Da Qaidi Mar Waisi Be-Rukhiyan Naal Zaleel Na Kar

Tum zaraa shajr ko dilasa do Man parinday,bula k laata hoon

Image
Tum zaraa shajr ko dilasa do Man parinday,bula k laata hoon

Iss ne aise chaal chali keh meri Ma'at yaqeeni thee Phir apni apni kismat the ' haara main pachtaya wo

Image
Iss ne aise chaal chali keh meri Ma'at yaqeeni thee Phir apni apni kismat the ' haara main pachtaya wo

Talaash kar meri kami ko ' apne Dil mein Dard ho tou samjh lena' Rishta ab bhee baqi hai

Image
Talaash kar meri kami ko ' apne Dil mein Dard ho tou samjh lena' Rishta ab bhee baqi hai

Raushni khud bhi chiraghon se alag rehti hai Dil mein jo rehte hain , wo dil nahi hone pate

Image
روشنی خود بھی چراغوں سے الگ رہتی ہے دل میں جو رہتے ہیں، وہ دل نہیں ہونے پاتے Raushni khud bhi chiraghon se alag rehti hai Dil mein jo rehte hain , wo dil nahi hone pate

Sabhi dar kar diye hain band is ke Kisi par phir se ye dil aa na jaye

Image
سبھی در کر دیے ہیں بند اس کے کسی پر پھر سے یہ دل آ نہ جائے کوکی گل Sabhi dar kar diye hain band is ke Kisi par phir se ye dil aa na jaye Koki Gill

Us Ne Pur Kaif Isharon Mein Nikali Batein Maiz Par Chaaye Jo Rakhi Tou Uthali Batein

Image
اس نے پُرکیف اشاروں میں نکالی باتیں میز پر چاۓ جو رکھّی تو اُٹھالی باتیں ہم فقیروں کو کبھی وجد میں آ لینے دو پھر سُنو بیٹھ کے پہلو میں دھمالی باتیں اتنے دن بعد ملے ہیں تو گِلے رہنے دو آؤ دو چار کریں خیر سگالی باتیں بات پہلے تو نگاہوں سے شروع کی اس نے پھر تو ہر انگ سے پُر کیف اُچھالی باتیں آج کھولا تو زمانے تھے کئی آنکھوں میں ماں نے صندوق میں کتنی تھی سنبھالی باتیں ایسے گزری تھیں دسمبر کی وہ راتیں انجم اوڑھ لیں ہم نے، کبھی نیچے بِچھا لیں باتیں آصف انجم

Rah e Dushwar Tak Tou Le Aaya Woh Mujhe Daar Tak Tou Le Aaya

Image
راہِ دشوار تک تو لے آیا وہ مجھے دار تک تو لے آیا بات آگے نہ بڑھ سکی لیکن اُس کو اظہار تک تو لے آیا اب وہ اذن کلام دے یا نہ دے عشق کُہسار تک تو لے آیا اب مجھے راستہ بنانا ہے دوست دیوار تک تو لے آیا ساتھ چلنے کا کہہ نہیں پایا وہ مگر کار تک تو لے آیا اس سے آگے وہ اور کیا کہتا بات کردار تک تو لے آیا اک تجسس مجھے خزانے کا کھینچ کر غار تک تو لے آیا آصف انجم

Kisi jatan ki zarurat nahi pade gi tumhen Hum jaise loag muhabbat se toot jate hain

Image
کسی جتن کی ضرورت نہیں پڑے گی تمہیں ہم جیسے لوگ محبت سے ٹوٹ جاتے ہیں Kisi jatan ki zarurat nahi pade gi tumhen Hum jaise loag muhabbat se toot jate hain

Jahan wo hain wahin mera tasavvur Jahan main hoon, khayal e yar bhi hai

Image
جہاں وہ ہیں وہیں میرا تصور جہاں میں ہوں، خیال یار بھی ہے Jahan wo hain wahin mera tasavvur Jahan main hoon, khayal e yar bhi hai

Karoon qubool mushaqqat tamam umr ki main Magar ye shart ke ujrat mein tu mile mujh ko

Image
کٙروں قُبول مُشقّت تمام عُمر کِی میں مٙگر یہ شرط کہ اجرت مِیں تُو مِلے مُجھ کو Karoon qubool mushaqqat tamam umr ki main Magar ye shart ke ujrat mein tu mile mujh ko

Ek shakl thi ke dil se na utri tamam umr Ek khwab tha ke dekhte rehna pada mujhe

Image
اک شکل تھی کہ دل سے نہ اتری تمام عمر اک خواب تھا کہ دیکھتے رہنا پڑا مجھے علی مینائی Ek shakl thi ke dil se na utri tamam umr Ek khwab tha ke dekhte rehna pada mujhe Ali Meenai

Ap zulf e janan ke kham sanwariye sahib Zindagi ki zulfon ko ap kia sanwaren ge

Image
آپ زلفِ جاناں کے خم سنواریے صاحب زندگی کی زلفوں کو آپ کیا سنواریں گے Ap zulf e janan ke kham sanwariye sahib Zindagi ki zulfon ko ap kia sanwaren ge

Lainde painde tainu Koki Jinhe tere sah ne baqi Khawre kine phah ne baqi

Image
لینڑیں پینڑیں تینوں کوکی جنہے تیرے ساہ نے باقی خورے کنے پھاہ نے باقی کوکی گل Lainde painde tainu Koki Jinhe tere sah ne baqi Khawre kine phah ne baqi Koki Gill

Kise khabar thi ke tark e talluqat ke baad Wohi to yad rahen ge jinhen bhula baithe

Image
کِسے خبر تھی کہ تَرکِ تعلقات کے بعد وہی تو یاد رہیں گے جنھیں بُھلا بیٹھے Kise khabar thi ke tark e talluqat ke baad Wohi to yad rahen ge jinhen bhula baithe

Tere hijr ki aag mein jalte thay hum angaron par chalte thay Kabhi tapti raet pe nache hum, kabhi khud ko jalaa kar raqs kiya

Image
ترے ہجر کی آگ میں جلتے تھے، ہم انگاروں پر چلتے تھے کبھی تپتی ریت پہ ناچے ہم، کبھی خود کو جلا کر رقص کیا Tere hijr ki aag mein jalte thay hum angaron par chalte thay Kabhi tapti raet pe nache hum, kabhi khud ko jalaa kar raqs kiya

Suna hai utre ga wo khwab ke jazeere par So main ne phoolon se bhar di hain kishtiyan sari

Image
سنا ہے اترے گا وہ خواب کے جزیرے پر سو میں نے پھولوں سے بھر دی ہیں کشتیاں ساری Suna hai utre ga wo khwab ke jazeere par So main ne phoolon se bhar di hain kishtiyan sari

Hum ne soch rakha hai, rat youn guzaren ge Dhadkanen bichha den ge shokh tere qadmon mein Hum nigahon se teri aarti utaren ge

Image
ہم نے سوچ رکھا ہے، رات یوں گزاریں گے دھڑکنیں بچھادیں گے شوخ تیرے قدموں میں ہم نگاہوں سے تیری آرتی اُتاریں گے Hum ne soch rakha hai, rat youn guzaren ge Dhadkanen bichha den ge shokh tere qadmon mein Hum nigahon se teri aarti utaren ge

Sadqa e Husn Lutate Hein Woh Jab Aate Hein Bigdi Taqdeer Bante Hein Woh Jab Aate Hein

Image
صدقۂ حسن لٹاتے ہیں وہ جب آتے ہیں بگڑی تقدیر بناتے ہیں وہ جب آتے ہیں Sadqa e Husn Lutate Hein Woh Jab Aate Hein Bigdi Taqdeer Bante Hein Woh Jab Aate Hein جلوۂ طور دکھاتے ہیں وہ جب آتے ہیں ہوش کی ہوش اڑاتے ہیں وہ جب آتے ہیں Jalwah e Toor Dekhate Hein Woh Jab Aate Hein Hosh Ki Hosh Udate Hein Woh Jab Aate Hein اک ہی سجدے پہ تکمیل عبادت کے لئے ہم قدم چومنے جاتے ہیں وہ جب آتے ہیں Ik Hi Sajday Peh Takmeel Ibadat Ke Liye Hum Qadam Choomte Hein Woh Jab Aate Hein شاعر: نامعلوم Na-Maloom

Mat Pooch Mere Sabar Ki Inteha Kahan Tak Hai Tu Sitam Kar Teri Taqat Jahan Tak Hai

Image
Mat Pooch Mere Sabar Ki Inteha Kahan Tak Hai Tu Sitam Kar Teri Taqat Jahan Tak Hai Wafa Ki Umeed Tou Kisi Aur Ko Hogi Humain Tou Daikhna Hai Tu Be-Wafa Kahan Tak Hai

Baton Baton Mein Unwan Badal Jate Hein Kitni Raftar Se Insan Badal Jate Hein

Image
Baton Baton Mein Unwan Badal Jate Hein Kitni Raftar Se Insan Badal Jate Hein Choriyan Ho Nahi Paatein Tou Yahi Hota Hai Apni Basti Ka Nigahban Badal Jate Hein Koi Manzil Hi Nahi Thehrein Muradein Jis Par Waqt Badly Bhi Tou Arman Badal Jate Hein

Socho Zara Kitne Fasad Hote Aap Jab Humara Intekhab Hote

Image

Zara See Zindagi Hai Arman Buhat Hein Humdard Koi Nahi Insan Buhat Hein

Image
Zara See Zindagi Hai Arman Buhat Hein Humdard Koi Nahi Insan Buhat Hein Dil Ka Dard Sunaoun Tou Sunaoun Kis Ko Jo Dil Ke Qareeb Thay Woh Anjan Buhat Hein

Kaghaz Ki Kashtiyan Thi Pani Ka Kinara Tha Khelne Ki Masti Thi Dil Yeh Aawara Tha

Image
Kaghaz Ki Kashtiyan Thi Pani Ka Kinara Tha Khelne Ki Masti Thi Dil Yeh Aawara Tha Kahan Aagay Is Samajhdar Ke Daldal Mein Woh Nadan Bachpan Bhi Kitna Piyara Tha

Kabhi Yaad Aaoun Tou Poochna Zara Apni Fursat e Shaam Se Kise Ishq Tha Teri Zaat Se Kise Piyar Tha Tere Nam Se

Image
Kabhi Yaad Aaoun Tou Poochna Zara Apni Fursat e Shaam Se Kise Ishq Tha Teri Zaat Se Kise Piyar Tha Tere Nam Se

Yun Mehfil Nahi Hoti Aur Nazare Nahi Hote Yun Chand Ke Pehlo Mein Sitare Nahi Hote

Image
Yun Mehfil Nahi Hoti Aur Nazare Nahi Hote Yun Chand Ke Pehlo Mein Sitare Nahi Hote Hum Is Liye Karte Hein Aapki Fikar Kyunkeh Dil Qareeb Sare Nahi Hote

Tarasti Hon Main Sun'ny Ko Tera Lehja Nahi Milta Zamane Mein Koi Mujh Ko Tere Jaisa Nahi Milta

Image
Tarasti Hon Main Sun'ny Ko Tera Lehja Nahi Milta Zamane Mein Koi Mujh Ko Tere Jaisa Nahi Milta

Jis Roz Se Daikha Hai Usko Hum Shamma Jalana Bhool Gaye

Image
Jis Roz Se Daikha Hai Usko Hum Shamma Jalana Bhool Gaye

Wo meri nazar se chhupen ge kia Jo makeen hain mere khayal mein

Image
وہ میری نظر سے چھپیں گے کیا جو مکیں ہیں میرے خیال میں Wo meri nazar se chhupen ge kia Jo makeen hain mere khayal mein

Ik Larki Ko Daikha Tou Aisa Laga Jaise Khilta Gulaab , Jaise Shair Ka Khuwaab

Image
اک لڑکی کو دیکھا تو ایسا لگا جیسے کھلتا گلاب، جیسے شاعر کا خواب جیسے اجلی کرن، جیسے بن میں ہرن جیسے چاندنی رات، جیسے نرمی کی بات جیسے مندر میں ہو جلتا دیا اک لڑکی کو دیکھا تو ایسا لگا جیسے صبح کا روپ، جیسےسردی کی دھوپ جیسے بینا کی تان، جیسے رنگوں کی جان جیسےبل کھائے بیل، جیسے لہروں کا کھیل جیسے خوشبو لیے آئے ٹھنڈی ہوا اک لڑکی کو دیکھا تو ایسا لگا جیسے ناچتا مور، جیسے ریشم کی ڈور جیسے پریوں کا راگ، جیسے صندل کی آگ جیسے سولہ سنگھار، جیسے  رس کی پھوار جیسے آہستہ آہستہ بڑھتا نشہ اک لڑکی کو دیکھا تو ایسا لگا جاوید اختر

Sukhan varon ke qabeele mein ye kharabi hai Udas loag hi dil ke khhare nikalte hain

Image
سخن وروں کے قبیلے میں یہ خرابی ہے اداس لوگ ہی دل کے کھرے نکلتے ہیں Sukhan varon ke qabeele mein ye kharabi hai Udas loag hi dil ke khhare nikalte hain

Tum salamat raho qayamat tak Aur qayamat kabhi na aye Shaad

Image
تم سلامت رہو قیامت تک اور قیامت کبھی نہ آئے شادؔ شادؔ عارفی Tum salamat raho qayamat tak Aur qayamat kabhi na aye Shaad Shaad Aarfi

Nikaloon kaise naye ishq ki main gunja’ish Huay nikah par phir se nikah kaise ho

Image
نکالوں کیسے نئے عشق کی میں گنجائش ہُوئے نکاح پہ پھر سے نکاح کیسے ہو Nikaloon kaise naye ishq ki main gunja’ish Huay nikah par phir se nikah kaise ho

Thi gar anay mein maslihat ha’il Yad ana koi zaruri tha

Image
تھی گر آنے میں مصلحت حائل یاد آنا کوئی ضروری تھا Thi gar anay mein maslihat ha’il Yad ana koi zaruri tha

Halal hoti hai pehli nazar to hashr talak Haraam ho jo hatayen, wo itna dilkash hai

Image
حلال ہوتی ہے پہلی نظر تو حشر تلک حرام ہو جو ہٹائیں، وہ اتنا دلکش ہے Halal hoti hai pehli nazar to hashr talak Haraam ho jo hatayen, wo itna dilkash hai

Charah gar dekh mere zakhmon ko Ab zarurat rafu gari ki hai

Image
    چارہ گر دیکھ میرے زخموں کو اب ضرورت رفو گری کی ہے درد دل تک نہیں رہا محدود بات اب میری زندگی کی ہے Charah gar dekh mere zakhmon ko Ab zarurat rafu gari ki hai Dard dil tak nahi raha mehdood Bat ab meri zindagi ki hai

Nazar uthi hai us ki meri janib Kaiy peshaniyon par bal pade hain

Image
نظر اٹھی ہے اس کی میری جانب کئی پیشانیوں پر بل پڑے ہیں Nazar uthi hai us ki meri janib Kaiy peshaniyon par bal pade hain

Ye ayan jo aab e hayat hai isay kia karoon Ke nihan jo zehr ke jaam thay, mujhe khha gaye

Image
یہ عیاں جو آب حیات ہے، اسے کیا کروں کہ نہاں جو زہر کے جام تھے، مجھے کھا گئے Ye ayan jo aab e hayat hai isay kia karoon Ke nihan jo zehr ke jaam thay, mujhe khha gaye

Hum aise loag bohat jaldbaz hote hain Hum aise loag bohat der tak nahi jeete

Image
ہم ایسے لوگ بہت جلدباز ہوتے ہیں ہم ایسے لوگ بہت دیر تک نہیں جیتے Hum aise loag bohat jaldbaz hote hain Hum aise loag bohat der tak nahi jeete