The great and most popular shayar and " Shayar_E_Inquilaab " "Josh Malihabadi" Shabbir Hasan Khan 5 Dec.1898, Malihabad U.P India - 22 Feb. 1982 Islamabad Pakistan Pen name - Josh Kya Hind Ka Zindaan Kaanp Raha Goonj Rahi Hain Takbeeren Uk'taaye Hain Shayad Kuchh Qaidi Aur Tod Rahe Hain Zanjeeren zindaan = prison, takbeerein = slogans Deewaaron Ke Neeche Aa Aa Kar Yun Jama Huye Hain Zindani Seenon Mein Talaatum Bijli Ka Aankhon Mein Jhalakti Shamsheerein zindani = prisoners, talaatum = storm, shamsheerein = swords Bhookhon Ki Nazar Mein Bijli Hai Topon Ke Dahaane Thande Hain Taqadeer Ke Lab Pe Jumbish Hai Dam Tod Rahi Hai Tadabeerein jumbish = small/slight movement, tadbeerein = solutions Aankhon Mein Gada Ki Surkhi Hai Be-noor Hai Chehra Sultaan Ka Takhreeb Ne Parcham Khola Hai Sajde Mein Padi Hain Ta'ameeren gada = poverty, be-noor = light-less, takhreeb = destruction parcham = flag, ta'ameeren = constructions Kya Un...