ﺍیسا ﮐوئی زندگی ﺳﮯ وعدہ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ ﺗﯿﺮﮮ بنا ﺟینے ﮐا ﺍرادہ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ Aisa koi zindagi se wada to nahi tha Tere bina jeene ka irada to nahi tha ﺗﯿﺮﮮ ﻟﯿﮯ ﺭﺍﺗﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﭼﺎﻧﺪﻧﯽ ﺍُﮔﺎﺋﯽ ﺗﮭﯽ ﮐﯿﺎﺭﯾﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﮐﯽ ﺭﻭﺷﻨﯽ ﻟﮕﺎﺋﯽ ﺗﮭﯽ ﺟﺎﻧﮯ ﮐﮩﺎﮞ ﭨُﻮﭨﯽ ﮬﮯ ﮈﻭﺭ ﻣﯿﺮﮮ ﺧﻮﺍﺏ ﮐﯽ ﺧﻮﺍﺏ ﺳﮯ ﺟﺎﮔﯿﮟ ﮔﮯ، ﺳﻮﭼﺎ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ Tere liye raton mein chandni ugaai thi Kiariyon mein khushbu ki raushni lagaai thi Jane kahan tooti hai dor mere khwab ki Khwab se jagen ge, socha to nahi tha شامیانے شاموں کے ﺭﻭز ہی ﺳجائے تھے ﮐتنی ﺍمیدوں کے ﻣہمان بلائے تھے آ کے دروازے ﺳﮯ ﻟوٹ گئے ﮬو یوں بھی ﮐوئی آئے ﮔﺎ، ﺳوچا ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ Shamiyane shaamon ke roz hi sajaye thay Kitni umeeden ke mehman bulaye thay Aa ke darwaze se laut gaye ho Youn bhi koi aye ga, socha to nahi tha ﺍیسا ﮐوئی زندگی ﺳﮯ وعدہ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ ﺗﯿﺮﮮ بنا ﺟینے ﮐا ﺍرادہ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ Aisa koi zindagi se wada to nahi tha Tere bina jeene ka irada to nahi tha گلزار Gulzar