Sagar Se Lab Laga K Bahut Khush Hai Zindagi,


Poet Abdul Hameed Adam

 

Sagar Se Lab Laga K Bahut Khush Hai Zindagi,

Shan-E-Chaman Mein Aa K Bahut Khush Hai Zindagi,

Aa Jao Aur Bhi Zara Nazadeek Jan-E-Man,

Tum Ko Qareeb Pa K Bahut Khush Hai Zindagi,

Hota Koi Mahal Bhi To Kia Poochte Ho Phir,

Be Wajha Muskura K Bahut Khush Hai Zindagi,

Sahil Pe Bhi To Itni Shagufta Rawish Na Thi,

Toofan K Beech Aa K Bahut Khush Hai Zindagi,

Weeran Dil Hai Aur ADAM Zindagi Ka Raqs,

Jangal Mein Ghar Bana K Bahut Khush Hai Zindagi.................!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai