Teri Batain Hi Sunane Aaye, Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye,

 

Poet Ahmad Faraz

 

Teri Batain Hi Sunane Aaye,

Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye,

Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain,

Tere Aane K Zamane Aaye,

Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise,

Hum Tujhe Haal Sunane Aaye,

Ishq Tanha Hai Sar-e Manzil-e-Gham,

Kon Ye Bojh Uthane Aaye ?

Ajnabi Dost Humain Dekh K Hum,

Kuch Tujhe Yad Dilane Aaye,

Dil Dharakta Hai Safar K Hangam,

Kash Phir Koi Bulane Aaye,

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai,

Shayad Ab Hosh Thikane Aaye,

Kia Kahein Phir Koi Basti Ujri,

Log Kion Jashan Manane Aaye?

So Raho Maut K Pehlo Mein,

F A R A Z

Neend Kis Waqt Na Jane Aaye..............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha