Chupke Chupke Jal Jate Hain Log Mohabbat Karne Wale

 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Chupke Chupke Jal Jate Hain,

Log Mohabbat Karne Wale,

Porva Sang Nikal Jate Hai,

Log Mohabbat Karne Wale,

Aankon Aankhon Chal Parte Hain Taron Ki Qandeel Liye,

Chand K Sath Hi Dhal Jate Hain,

Log Mohabbat Karne Wale,

Dil Mein Phool Khila Dete Hain,

Log Mohabbat Karne Wale,

Aag Mein Raag Jaga Dete Hain,

Log Mohabbat Karne Wale,

Pani Baich Batasha Sorat Khud To Ghulte Rehte Hain,

Sam Ko Shehd Bana Dete Hain,

Log Mohabbat Karne Wale,

Khawab Khushi K Bo Jate Hain,

Log Mohabbat Karne Wale,

Zakham Dilon K Dho Jate Hain,

Log Mohabbat Karne Wale,

Titli Titli Lehrate Hain Phoolon Ki Umeed Liye,

Ek Din Khushbo Ho Jate Hain,

Log Mohabbat Karne Wale!

Ban Jate Hain Naqsh Wafa,

Log Mohabbat Karne Wale,

Jhonka Hain Bechain Hawa Ka,

Log Mohabbat Karne Wale,

Jalli Hoi Dharti Pe Jaise Badal Gir Kar Aain,

Basti Par Hain Fazal Khuda Ka,

Log Mohabbat Karne Wale..................!

Book

Zara Phir Se Kehna 

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein