Dard Phir Jaga Purana Zakham Phir Taza Howa

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Dard Phir Jaga Purana Zakham Phir Taza Howa,

Fasal-E-Gul Kitne Qareeb Aai Hai Andaza Howa,

Subha Youn Nikli Sanwar K Jis Tarha Koi Dulhan,

Shabnam Awiza Hoi Rang-E-Shafaq Ghaza Howa,

Hath Mere Bhool Bethe Dastakain Dene Ka Fan,

Band Mujh Par Jab Us K Ghar Ka Darwaza Howa,

Rel Ki Siti Mein Kaise Hijar Ki Tamheed Thi,

Us Ko Rukhsat Kar K Ghar Loute To Andaza Howa...........!

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein