Dhanak Dhanak Meri Poron K Khawab Kar De Ga

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Dhanak Dhanak Meri Poron K Khawab Kar De Ga,

Wo Lams Mere Badan Ko Gulab Kar De Ga,

Qaba-E-Jisam K Har Taar Se Guzarta Howa,

Kiran Ka Pyar Mujhe Aftab Kar De Ga,

Janoon Pasand Hai Dil Aur Tujh Tak Aane Mein,

Badan Ko Naao Laho Ko Chanab Kar De Ga,

Main Such Kahon Gi Magar Main Phir Bhi Haar Jaon Gi,

Wo Jhoot Bole Ga Aur La Jawab Kar De Ga,

Anaa Parst Hai Itna K Bat Se Pehle,

Wo Uth K Band Meri Har Kitab Kar De Ga,

Sakoot-E-Shehr-E-Sukhan Mein Wo Phool Sa Lehja,

Sama'aton Ki Fiza Khawab Khawab Kar De Ga,

Isi Tarha Se Agar Chahta Raha Pehim,

Sukhan Wari Mein Mujhe Intikab Kar De Ga,

Meri Tarha Se Koi Hai Jo Zindagi Apni,

Tumhari Yad K Naam Intasab Kar De Ga.............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein