Gajra Bali Nathli Lana Is Eid Par Surki Kajal

==============

Eid Collection

==============

Poet Zahid Mahmood

Gajra Bali Nathli Lana Is Eid Par,,

Surkhi Kajal Mehndi Bhi Dilana Is Eid Par,,

Laal Peeli Hari Neeli Sur Ho Jis Mein Pyar Ka,,

Rang-Ba-Rangi Choorriyan Lana Is Eid Par,,

Chunri Ho Laal Rang Ki Jis Py,,

Bail Booty Aur Phool Banwana Is Eid Par,,

Ik Jorri Ho Payel Ki Bhi Sajan,,

Dhank Ho Jis Ki Chaht Bhari Lana Is Eid Par,,

Gajra Lagana Balon Mein Apny Hath Sy,,

Bali Nathli Bhi Pehnana Is Eid Par,,

Ye Sub Cheezein Saja Kar Dikhaon ZAHID Tum Ko,,

Daikh K Mujhy Phir Muskrana Is Eid Par.

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo