Hasrat-E-Jaana Ki Deed Le Kar Eid Manane Wale

==============

Eid Collection

==============

Poet Umar Raahi

Hasrat-E-Jaana Ki Deed Le Kar Eid Manane Wale,

Hum Log Hain Gham Chhupa Kar Muskrany Waly,,

Dil Mein Hazaroon Dard Pahnan,,

Phir Bhi Eid K Roz Hum Hain Hansny Hansany Waly,,

Sajaein Gar Koi Mehfil-E-Eid,,

Hum Hain Ehl-E-Mehfil Ko Rulany Waly,,

Jala Kar Ghar Apna Kar Laity Hain Charaghan,,

Youn Hain Hum Dunya Ko Roshni Pohnchany Waly,,

Din Eid K RAAHI Daikh K Ik Nazar Us Ko,,

Hum Hain Chhoti Baat Py Khushi Manany Wale.

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay