Koi Nala Yahan Rasa Na Howa Ashak Bhi

 

Poet Saghar Saddiqui

Typ By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Koi Nala Yahan Rasa Na Howa.

Ashak Bhi Harf-E-Muda Na Howa.

Talkhi-E-Dard Hi Muqadar Thi.

Jaam-E-Asharat Humain Ata Na Howa.

Mahtabi Nigah Walon Se.

Dil K Dagho Ka Samana Na Howa.

Aap Rasm-E-Jafa K Qail Hain.

Mein Aseer-E-Wafa Na Howa.

Wo Shehensha Nahi Bhekari Hai.

Jo Faqeeron Ka Aasra Na Howa.

Rahazan Aqal-O-Hosh Diwana.

Ishq Mein Koi Rahnuma Na Howa.

Dubne Ka Khayal Tha SAGHAR.

Haye Sahil Pe Nakhuda Na Howa.........!

Book:

Kuliat-e-Saghar

Page: 54 to 55

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo