Phir sawan rut ki pawan chali tum yad aaye

Poet Nasir Kazmi

Phir sawan rut ki pawan chali tum yad aye

phir patton ki pazeb baji tum yad aye

phir kunjen bolin ghas k hare samandar main

rut ai pile phulon ki tum yad aye

phir kaga bola ghar k sune angan main

phir amrat ras ki bund pari tum yad aye

pahle to main chikh k roya aur phir hansne laga

badal garja bijli chamaki tum yad aye

din bhar to main duniya k dhandhon main khoya raha

jab diwaron se dhup dhali tum yad aye.......!

(WO-HUMSAFAR)

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo