Mujhe Ek Gali Mein Para Howa Kisi Bad naseeb Ka Khat Mila

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha,

Sar-e-Bazm Rat Ye Kia Howa,

Meri Aankh Kaise Chalak Gai,

Mujhe Ye Ranj Hi Ye Bura Howa,

Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jan Mila,

Wo Pukhta Kar K Jafa Mila,

Na Kisi Ki Zarb Ghalat Pari,

Na Kisi Ka Teer Khata Howa,

Mujhe Aap Kion Na Samjh Sake,

Ye Khud Apne Dil Hi Se Poochiye,

Meri Dastan-e-Hayat Ka To,

Wo Warq Warq Hai Khula Howa,

Mujhe Ek Gali Mein Para Howa,

Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila,

Kahein Khoon-e-Dil Se Likha Howa,

Kahein Aanso'on Se Mita Howa,

Mujhe Humsafar Bhi Mila,

To Shikasta Haal Meri Tarha,

Koi Manzalon Ka Thaka Howa,

Kahein Raste Mein Loota Howa Humain,

Apne Ghar Se Chale Howay Sar-e-Umar Guzar Gai,

MOHSIN

Na Kisi Ki Justojoo Ka Sila Mila,

Na Safar Ka Hai Haq Ada Howa................! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai