Poet Khawaja Hafiz Sheeraz
Type By
UJRRA_DIL
Ro-Ba Maye Khana Nikal Masjid Se Aaya Peer Hai,
Ab Ay Yaran-E-Tareeqat Apni Kia Tadbeer Hai,
Sajda Soo-E-Kabba Kyoun Kar
Kar Sakein Gy Hum Mureed ?
Qibla May-Khana Ko Pakrry
Apna Qibla Peer Hai,
Kaya Kharab Mughaan Mein Hum Bhi Peetein Taliyan,
Kaya Azl Sy Apni Qismat Mein Yahi Tehreer Hai,
Aql Ny Jana Kabhi Gar Aish Band-E-Zulf Ka,
Paye Har Aaqil Mein Daikho Gy Parri Zanjeer Hai,
Lutaf-O-Khoob Ki Ik Aayyt Jab Sy Jana Roo-E-Dost,
Apny Qura'An Ki In Hi Do Aah Aatish Baar-E-Soz-E-Nala-E-Shab Geer Ko,
Tairy Sangeen Dil Mein Kuchh Bhi Sach Bata
Taseer Hai ?
Daam-E-Dil Mein Ho Gai Thi Jama Khatir Ik Shikar,
Zulf Jaana Khul Parri Aahoo Howa Nakhcheer Hai,
Zulf To Chhairri Saba Ny Mujh Py Kion Aalm-E-Siyaah ?
Mujh Py Kyoun Zulm ?
Is Mein Bhi Kuchh Mairi Taqseer Hai ?
Teer-E-Aah Ay Jaan-E-Jaa'n Gurdo'n Sy Jata Hai Nikal,
Chhairr Mat Kar Raham Khud Par Ye Bala Ka Teer Hai,
Hum Bhi HAFIZ Daal Dein Chokhat K Bahir Bistra,
Hum-Nasheen Rindo'n Ka Andr Yaar Apna Peer Hai....!
Book Deewan-E-Hafiz
Translation By
KASHIF NADEEM
Comments
Post a Comment