Saqia Uth Baith Bhar De Jam Ko Daal Choolhe Mein
Gham-E-Ayam Ko

 

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz

Type bY

UJRRA_DIL

Saqia Uth Baith Bhar De Jam Ko,

Daal Choolhe Mein

Gham-E-Ayam Ko,

Bhar K De Saghar Keh Aakhir Kab Talak ?

Kibar-O-Nakhwat Nafs-E-Na-Frman Ko,

Saghar May Dy Keh Main Phaiko'n Utar,

Jisam Sy Is Dalaq-E-Arazq Faam Ko,

Ho Jo Badnami Hai,

Nazd-E-Aaqlan,

Kaya Karo'n Ga Ly K Nang-O-Naam Ko,

Dod-E-Aah-E-Seena-E-Sozan Maira,

Phoonk Dy In

Pukhtgan-E-Kham Ko,

Mehram-E-Raaz-E-Dil-E-Sheeda Nahein,

Khoob Daikha Phir K Khas-O-Aam Ko,

Lag Gaya Dil Ik Dil Aaram Sy,

Ly Gaya Yakmushat Jo Aaram Ko,

Sar Par Dalein Chaman Mein Kaya Nazar ?

Daikh Kar Us Sar-O-Seem Andam Ko,

Phir Gaya Dunya Sy Dil Go Sabr Kar,

Kha Khushi Sy Gham Gi,

Kaat Ayam Ko,

Mushkilein HAFIZ Jo Ho'n Bardashit Kar,

Sehal Ho'n Gi Mushkilein Anjam Ko.....!

.

Book Deewan-E-Hafiz

Page 59

Gzl Num 13

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo