Us Ko Shazada Mila Bhi Ya Kahein Khud Kho Gai?

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Us Ko Shazada Mila Bhi Ya Kahein Khud Kho Gai,?

Dastaan Go Phir Wo Shazadi Kahan Gum Ho Gai?

Khof-E-Shab Khoon Din Mein,

Zehno Par Musalat Tha Magar,

Shehr Ki Khilqat Pe Kia Guzri K Shab Ko So Gai,

Ya Laho Peete Howay Kheton Ne Ugli Mayatein,

Ya Adov Ki Foj Dharti Mein Katte Sar Bo Gai,

Ahtajajan Subha Ki Qatil Hawa Se Rooth Kar,

Sar Barhana Rat Aai Aur Maqtal Ko Gai,

Ek Laho Ka Rang Tere Jurm Ariyan Kar Gia,

Ek Laho Ki Boond Mere Pairhan Ko Dho Gai,

Us Se Aage Kia Tha Ek Andhi Gali Ujra Makaan,

Ye Ghaneemat Jan Dunia Us K Ghar Tak To Gai,

Ek Sadi Aate Dino K Dukh Mein Hai MOHSIN Udas,

Ek Sadi Ki Biogi Marte Dino Ko Ro Gai...........!

 

Page 126(R) 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo