Wo Khayal Tha Koi Dhanak Numa Ya Koi Aks Tha Mere Roo Ba Roo

 

 

Poet Wasiq Ali Athar 

 

Wo Khayal Tha Koi Dhanak Numa,

Ya Koi Aks Tha Mere Roo Ba Roo,

Jo Mujhe Har Taraf Se Too Laga,

Ya Koi Aur Tha Tere Hoo Ba Hoo,

BAYAN Mein Thi Wo Chashni,

K Mehak Raha Tha Haraf Haraf,

JAISE Khushboo'n Ki Zaban Mein,

Koi Kar Raha Ho GUFTAGOO,

NAHI Kuch Khabar K Kis Ghari,

Tere Raston Ka Sira Mila

Tere Naqsh-E-Pa Ki Talash Mein,

Lagi To Hai Meri JUSTAJOO,

BAS Dekhna Hai Kis Tarha,

Wo Jee Raha Hai Mere BAGHAIR,

Youn To Dil Mein Hai Wo Aaj Bhi,

Jise Dhoondta Hon Chaar Soo..............! 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai