Woh Pichli Barishon Mein Hum

 

 

Woh Pichli Barishon Mein Hum,

Barry Na'daan Hotey Thy.

Sabhi Ki Aankh Sy Bach Ker,

Purani Kaapiyon Sy Hum

Warq Kuch Noch Letey Thy.

Hum ik Kashti Banaaty Thy.

Woh Paani Per Chalaatey Thy.

Humain Legta Tha Jesy Hum,

Ussi Kashti Mein Bethy Hain.

Woh Kashti Doob Jati Thi,

To

Hum Bhi Doob Jatey Thy.

Woh Kashti Paar Lagti Thi,

To

Hum Bhi Paar Lagty Thy.

Chalo Guzrey Huye Kal K

Woh Pal phir Dhoond Laatey Hain.

Purani Kaapiyan Ly Kr

Nai Kashti Banaty Hain.

Woh Paani Per Chalaatey Hain.

Chalo Phir Paar Lagtey Hain,

Ya

Phir Doob Jatey Hain..!!

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai