Intazamaat Naye Sire Se Sambhale Jain Jitane Kam Zarf Hain Mehafil Se Nikale Jain

 

 

Poet Rahat Indori 

 

Intazamaat Naye Sire Se Sambhale Jain,

Jitane Kam Zarf Hain Mehafil Se Nikale Jain,

Mera Ghar Aag Ki Lapton Mein Chupa Hia Lekin,

Jab Maza Hai Tere Aangan Mein Ujale Jain,

Gham Salamat Hai To Peete Hi Rahe Gaye Lekin,

Pehle Maikhane Ki Halat Sambhale Jain,

Khali Waqton Mein Kahein Baith K Ro Lein Yaro,

Fursatein Hain To Samandar Hi Kan Gaale Jain,

Khak Mein Youn Na Mila Zabt Ki Toheen Na Kar,

Ye Wo Aanson Hain Jo Dunia Ko Baha Le Jain,

Hum Bhi Pyase Hain Ye Ahasas To Ho SAQI Ko,

Khali Sheeshe Hi Hawaon Mein Uchale Jain,

Aao Shehr Mein Naye Dost Banain Quot RAHAT Quot,

Asteeno Mein Chalo Sanp Hi Paale Jain...................! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo