Ab Kia Likhein Hum Kaghaz Par

Ab Likhne Ko Kia Baqi Hai



Poet Ibn-E-Insha
Ab Kia Likhein Hum Kaghaz Par
Ab Likhne Ko Kia Baqi Hai?
Aik Dil Tha So Ab Toot Gia,
Lutne Ko Ab Kia Baqi Hai ?
Aik Shaks Ko Hum Ne Chaha Tha,
Kuch Reit Par Naqsh Banaya Tha,
In Reit K Razon Ko Hum
Ne Dil Main Sajaya Tha,
Wo Reit To Kab Ki Bikhar Gai,
Wo Naqsh Ab Kahan Baqi Hain?
Ab Kia Lekhein Hum Kaghaz Par,?
Ab Likhne Ko Kia Baqi Hai?
Wo Jin Ko Hum Apni Nazmo Ka,
Anwan Banaya Karte Thay,
Wo Lafzon Ka Bana K Taaj Mahal,
Kaghaz Par Sajaya Karte Thay,
Wo Hum Ko Akela Chor Gia,
Sab Rishton Se Moonh Mor Gia,
Ab Rishte Sare Soone Hain,
Wo Payar Ab Kahan Baqi Hai,
Ab Kia Lekhein Hum Kaghaz Par,?
Ab Likhne Ko Kia Baqi Hai........!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo