Poet Syed Ameen Gilani
Shokh Adain Jee Tarpain
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Teekhe Aabro Teer Chalain,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Subha-O-Taloo-E-Mehr Sair Chaman Ko Nikle
Sath Thi Sakhian Dain Bain,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Pailein Bajein,
Kangan Khanke,
Qehqahe Goonje,
Kamrein Lachkein Dheele Chust Qubain,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Sakhion Ko Ek Phool Dekha Kar,
Dekha Mujh Ko Bacha Kar,
Jee Kehta Tha Ball Ball Jain,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Sar Se Dopatte Urr Urr Jain,
Halki Si Ek Moj Hawa Se,
Mukhron Pe Gaiso Lehrain,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Tanhai Mein Hansna Hansana,
Hanste Hansate Rooth Bhi Jana,
Maan Jana Phir Jab Bhi Manein,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Hans Hans K Dena Zulf Jhatak Kar,
Dekh K Mujh Ko Pyar Se Aksar,
Phir Farmana Sheir Sunain,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Bazm Mein Jab Hum Aankh Milaye,
Tarrne Wale Tarr Bhi Jate,
Nazron Mein Masoom Khatain,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Youn Katni Thi *HIJAR* Ki Ratein,
Ghar K Dar-O-Deewar Se Batein,
Raste Takna Aain Na Aain,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Bat Judai Ki Jab Hoi Dekhi Ye Main Halat Us Ki,
Aankhon Mein Aanso Lab Pe Duain,
Hai Wo Aalam Toba Toba,
Beet Gaye Ayam-E-Jawani Chor Ye Qise Ab GILANI,
Uqba Ka Gham Dil Mein Basain,
Hai Wo Aalam Toba Toba...............!
Comments
Post a Comment