Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai

 

Poetess:Parveen Shakir

 

Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai
Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai

Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main
Aayine mein kiska chehra dekh liya hai

Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska
Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai

Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai

Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha
Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai

Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they
Band aankhon se usko jata dekh liya hai ......!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai