Gawahi Kaise Toot'ti, Muamla Khuda Ka Tha, Mera Aor Us Ka Rabta To Haath Aor Dua Ka Tha

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Gawahi Kaise Toot'ti, Muamla Khuda Ka Tha,

Mera Aor Us Ka Rabta To Haath Aor Dua Ka Tha


Gulaab Qaimat-E-Shaguft,Shaam Tak Chuka Sakay,

Ada Wo Dhoop Ko Howa,Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha


Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hi Se Pooch Guch Hoi,

Hisaab Baghbaan Se Hai Kia Dhara Hawa Ka Tha


Lahoo Chashida Haath Us Ne Choom Kar Dekha Diya;

Jaza Wahan Mili Jahan Marhala Saza Ka Tha


Jo Barishon Se Qabal Apna Rizq Ghar Mein Bhar Chuka,

Wo Sheher-E-Moor Se Na Tha Door Bais Balaa Ka Tha....!

 

**********NOMI**********


Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein