Baarish Mein Kaya Dhuli Dhuli Si Hai Ladki, Rang Mein Ras Mein Ghuli Ghuli Si Hai Ladki


Poet Qateel Shafai

Type bY
UJRRA_DIL

 

Baarish Mein Kaya Dhuli Dhuli Si Hai Ladki,

Rang Mein Ras Mein Ghuli Ghuli Si Hai Ladki,

Boodein Youn Dikhti Hain Us K Rukhsaaron Par,

Para Jaise Thark Raha Ho Angaaron Par,

Roop Us Ka Lagta Hai Aisa Garam Gulabi'

Jaise Bohat Say Jaam Piye Ho Koi Sharabi,

Botal Jaisi Khuli Khuli Si Hai Ladki,

Baarish Mein Kaya Dhuli Dhuli Si Hai Ladki,

Us Ki Chal Say Daryao'n Ko Mile Rawani,

Chalti Phirti Hui Qayaamat Us Ki Jawani,

Chalti Hai To Dilon Ko Rondti Jati Hai Wo,

Ban K Chamkti Bijli Kondti Jati Hai Wo,

Angaaron Mein Tali Tali Si Ladki,

Chand Mein Himat Kahan Jo Us K Samane Aaye,

Sooraj Us Ko Daikh K Baadal Mein Chhup Jaye,

Us K Naam Say Baghon Mein Aaye Haryali,

Us K Gaalon Say Mangi Phoolon Ne Lali,

Mail Milaap Mein Khuli Dali Si Ladki...............!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai