Badltay Muasmoon Ki Bay Wafai Nay Rula Dala, Hamein Apnay Dukhoon Par Jag Hansayi Nay Rula Dala

 

Poettse Nazia Kanwal Nazi

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Badltay Muasmoon Ki Bay Wafai Nay Rula Dala,

Hamein Apnay Dukhoon Par Jag Hansayi Nay Rula Dala,

Koi Bhi Faradd-E-Wahid Kab Mutaasar Kar Saka Hum Ko ?

Hamein To Bas Zamanay Ki Khudayi Nay Rula Dala,

Na Jab Shour Tha To Zindagi Pur Kaif Thi Kitni,

Khuli Aankhein To Khud Apni Duhayi Nay Rula Dala,

Main Wo Pathar Hoon Jis Ko Muam Hona Rass Na Aaya,

Parri Karni Jo Paish Apni Safaayi Nay Rula Dala,

Dikhaway Ki Mohabbat Ka Koi Bhi Gham Nahi Laahaq,

Hamein To Apni Hi Is Khud Numaayi Nay Rula Dala,

Bohat Anmol Thi Wo Kanch Ki Gurriya Si Ik Ladki,

Milay Gi Ab Kahan ?

Us Ki Judayi Nay Rula Dala.................*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo