Band Hoti Kitabon Mein, Urrti Hui Tatliyan Daal Di


Poetess
Noshi Geelani

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Band Hoti Kitabon Mein,
Urrti Hui Tatliyan Daal Di,

Kis Ne Risamon Ki Jalti Hui Aag Mein Ladkiyan Daal Di ?

Khof Kesa Hai Ye ?
Naam Us Ka Kahein Zair-E-Lab Bhi Nahi,

Jis Ne Haathon Mein Mere Hare Kanch Ki Choorriyan Daal Di,

Hont Pyase Rahe Hosle Thak Gaye Umar Sehra Hui,

Hum Ne Pani K Dhoke Mein Phir Rait Par Kashtiyan Daal Di,

Muasam-E-Hijar Ki Kesi Saait Hai ?
Ye Dil Bhi Heran Hai,

Mere Kaanon Mein Kis Ne Teri Yaad Ki Baaliyan Daal Di....................*


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai