Is Ahd-E-Pur Fatan Ki Nazar Say Ulajh Parro, Hangama Haaye Sham-O-Sehar Say Ulajh Parro,


Poet Saghar Sidiqui


Type

By

*_FAROOQI.54_*


Is Ahd-E-Pur Fatan Ki Nazar Say Ulajh Parro,

Hangama Haaye Sham-O-Sehar Say Ulajh Parro,

Hoga Rosh Rosh Pay Hamaray Janoon Ka Raaj,

Barrh Kar Nigah-E-Baraq-O-Sharar Say Ulajh Parro,

Lalkarti Hain Tum Ko Falak Boos Chotiyaan,

Itna Urro Keh Shams-O-Qamar Say Ulajh Parro,

Aatish Mein Kood Jao Bzam-E-Khalil-E-Shoq,

Mansooba Haaye Muaj-O-Bhanwar Say Ulajh Parro,

Barrhtay Chalo Mujaahido ALLAH Ki Raah Mein,

Bay Baak Ho K Khof-O-Khatar Say Ulajh Parro,

Apnay Watan Ki Khak-E-Muqdas K Wastay,

Saghar Tajliyaat-E-Gohar Say Ulajh Parro...............*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo