Kab Tak Dil Ki Kher Manaein Kab Tak Raah Dikhlao Ge ? Kab Tak Chen Ki Mohlat Do Ge


Poet Faiz Ahmad Faiz


Type

By

*_FAROOQI.54_*

Kab Tak Dil Ki Kher Manaein Kab Tak Raah Dikhlao Ge ?

Kab Tak Chen Ki Mohlat Do Ge ?
Kab Tak Yaad Na Aao Ge ?

Beeta Deed-E-Umeed Ka Muasam Khak Urrti Hai Aankhon Mein,

Kab Bhejo Ge Dard Ka Baadal ?
Kab Barkha Barsao Ge ?

Ahd-E-Wafa Ya Tarak-E-Mohabbat Jo Chaho So Aap Karo,

Apne Bas Ki Baat Hi Kia Hai Hum Say Kia Manwao Ge ?

Kis Ne Visal Ka Sooraj Dekha Kis Par Hijar Ki Raat Dhali,

Gaisswon Wale Kon Thay ?
Kia Thay ?
Un Ko Kia Jatlao Ge ?

FAIZ Dilon K Bhag Mein Hai
Ghar Bharna Lut Jana Bhi,

Tum Us Hussan K Lutaf-O-Karam Par Kitne Din Utrao Ge......................?


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo