Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Poochh Dil Se Nikli Hoi Honton Mein Dabi Baat Na Poochh


Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Poochh

Dil Se Nikli Hoi Honton Mein Dabi Baat Na Poochh


Wo Kis Ada Se Mere Saamnay Se Guzra Abhi

Kis Tarha Main Ne Sambhale Mere Jazbaat Na Poochh


Waqt Jo Badley To Insaan Badal Jatey Hain

Kia Nahi Dikhlaatey Ye Gardash-E-Haalaat Na Poochh


Wo Kisi Ka Ho Bhi Gaya Aur Mujhe Khabar Na Hoi

Kis Tarha Us Ne Chor'raya Hai Mujh Se Haath Na Poochh


Is Tarha Pal Mein Mujhe Begana Kar Diya Us Ne

Kis Tarha Apno Se Khai Hai Mein Ne Maat Na Poochh


Ab Tera Piyaar Nahi Hai To Sanam Kuch Bhi Nahi

Kitni Mushkil Se Bani Thi Dil Ki Kayinaat Na Poochh

 

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai