Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pehly Dilon Ke Deep Jaltay Hain Charagh-E-Shaam Se Pehly

 

Poet:Amjad Islam Amjad

 

Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pehly

Dilon Ke Deep Jaltay Hain Charagh-E-Shaam Se Pehly


Kabhi Manzar Badalnay Par Bhi Qissa Chal Nahi Pata

Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pehly


Yahi Taare Tumhari Aankh Ki Chilman Mein Rehty Thy

Yahi Sooraj Nikalta Tha Tumhare Baam Se Pehly


Hui Hai Shaam Jungle Main Parende Laot-ty Hon Gy

Ab Inko Kis Tarha Rokein Nawah-E-Daam Se Pehly


Ya Saare Rang Murda Thy Tumhari Shakl Ban'ny Tak

Ya Saare Harf Muhmal Thy Tumhare Naam Se Pehly


Howa Hai Wo Agar Munsif To AMJAD Ihtiyatan Hum

Saza Tasleem Kartay Hain Kisi Ilzaam Se Pehly


**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai