Wo Khuwbsorat Larrkiyaan, Dasht-E-Wafa Ki Hirniyaan


Poet Muneer Niazi

KHALISH

Type By

*.__Ayaz Khan__.*

Wo Khuwbsorat Larrkiyaan,

Dasht-E-Wafa Ki Hirniyaan,

Shehr-E-Shab-E-Mehtaab Ki,

Be Cheen Jadugarniyaan,

Jo Badalon Mein Kho Gain,

Nazaron Se Ujhal Ho Gain,

Ab Sard Kali Raat Ko,

Aankhon Mein Gehara Gham Liye,

Ashkon Ki Behti Nehar Liye,

Gulnaar Chehre Nam Kiye,

Hasti Ki Sirhad Se Paray,

Khawabo Ki Sangeen Out Se,

Kehti Hain Mujh Ko Be Wafa,

Hum Se Bechrr Kar Kia Tujhe,

Sukh Ka Khazana Mil Gaya.......!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai