Ab To Ghabra Ke Ye Kehtay Hain Keh Mar Jaein Gy Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Jaein Gy


 Poet:Muhammad Ibrahim Zauq

Type By

*.__NOMI__.*

Ab To Ghabra Ke Ye Kehtay Hain Keh Mar Jaein Gy

Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Jaein Gy


Tum Ne Thahrai Agar Ghair Ke Ghar Jaane Ki

To Irade Yahan Kuchh Aur Thahar Jaein Gy


Hum Nahin Wo Jo Karein Khoon Ka Dawa Tujh Par

Balke Poochhe Ga Khuda Bhi To Mukar Jaein Gy


Aag Dozakh Ki Bhi Ho Jaye Gi Paani Paani

Jab Ye Aasi Arq-E-Sharam Se Tar Jaein Gy


Sholaa-E-Aah Ko Bijli Ki Tarah Chamkaon

Par Mujhe Dar Hai, Keh Wo Dekh Kar Dar Jaein Gy


Laaye Jo Mast Hain Turbat Pe Gulaabi Aankhein

Aur Agar Kuchh Nahin Do Phool To Dhar Jaein Gy


Nahin Paaye Ga Nishaan Koi Humara Hargiz

Hum Jahan Se Rawish-E-Teer-E-Nazar Jaein Gy


Puhonchein Gy Raahguzar-E-Yaar Talak Hum Kyon Kar

Pehle Jab Tak Na Do Aalam Se Guzar Jaein Gy


"Zauq" Jo Madrase Ke Bigr'rhay Hoe Hain Mullah

Un Ko Maikhaane Mein Le Aao Sanwar Jaein Gy..........!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo