Poet:Allama Muhammad Iqbal
Type By
*._.Murtaza._.*
Anokhi Waza Hai Saare Zamane Se Nirali Hain,
Ye Aashiq Kon Si Basti Ke Ya Rab Rehne Wale Hain,
Ilaaj-e-Dard Main Bhi Dard Ke Lzat Pe Marta Hoon,
Jo Thay Chhalon Main Kante Nok Sozan Se Nikale Hain,
Phala Phola Rahe Ya Rab Chaman Meri Umeedon Ka,
Jigar Ka Khoon De De Kar Ye Boote Main Ne Pale Hain,
Rulati Hai Mujhe Ratoon Ko Khamoshi Sitaaron Ki,
Nirala ISHQ hai Merta Nirale Mere Nale Hain,
Na Pochh Mujh Se Lizzat-e-Khanaamaa Barbad Rehne Ki,
Nasheman Senkrron Main Ne Bana Kar Phonk Dale Hain,
Nahi Begangi Achhi Rafiq-e-Raah-e-Manzil Se,
Thehar Ja Ay Sharar Hum Bhi To Aakhir Mitne Wale Hain,
Umeed-e-Hoor Ne Sab Kuchh Sikha Rakha Hai Wa'az Ko,
Ye Hazrat Daikhne Main Seedhe Saadhe Bhole Bhale Hain,
Mere Ashar Ay "IQBAL" Kyon Piyare Na Hon Mujh Ko,
Mere Toote Howe Dil Ke Ye Dard Angez Nale Hain........!
Bang-E-Dara
Page No 71
Comments
Post a Comment