Barrh Gai Hai Un K Aa Jane Se Shan-E-Roz-E-Eid, Aasmaan Par Hai Dimaagh-E-Rutba-Daan-E-Roz-E-Eid

Poet Hasrat Mohani

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Barrh Gai Hai Un K Aa Jane Se Shan-E-Roz-E-Eid,

Aasmaan Par Hai Dimaagh-E-Rutba-Daan-E-Roz-E-Eid,

Ho Raha Hai Mezbaan Mahoo-E-Tamasha-E-Jamal,

Mehmaan Be Khudi Hai Mehmaan-E-Roz-E-Eid,

Be Qarari Apni Kar Doon Un Ki Shokhi Par Nisaar,

Aur Aakhir Kia Unhein Doon Armughan-E-Roz-E-Eid,

Wo Haya Parwar Mila Kis Tarah Mujh Se Kia Kahon ?

Be Khudi Afza Hai Ya'ani Dastaan-E-Roz-E-Eid,

Be Rukhi Hai Aaj Ki Risam-E-Marwat Se Baeed,

Kuch To Kar Ay Heela Jo Paas-E-Nishaan-E-Roz-E-Eid,

Hoon Khayal-E-Khatir Ahbaab Se Zahir Mein Khush,

Warna Main Mehjoor Aur Khush Hoon Miaan-E-Roz-E-Eid,

Khatir-E-Ghamdeedah-E-HASRAT Hai Mahoo-E-Gham-E-Hanooz,

Kar Chuke Hain Baar'Ha Hum Imtihaan-E-Roz-E-Eid....................*

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo