Hai Tere Kaan Zulf-E-Muimbar Lagi Hoi Rakhe Gi Ye Na Baal Barabar Lagi Hoi


Poet:Muhammad Ibrahim Zauq

Type By

*.__NOMI__.*

Hai Tere Kaan Zulf-E-Muimbar Lagi Hoi

Rakhe Gi Ye Na Baal Barabar Lagi Hoi


Bhaithe Bhare Hoe Hain Khum-E-Mai Ki Tarah Hum

Par Kya Karen Keh Muhar Hai Monah Par Lagi Hoi


Mayyat Ko Ghusal Deejo Na Khaak-Saar Ki

Hai Tan Pe Khaak-E-Kocha-E-Dilbar Lagi Hoi


Nekle Hai Kab Kisi Se Bhi Us Ki Mizha Ki Nok

Hai Phaans Si Kaleje Ke Andar Lagi Hoi


Ay "Zauq" Dekh Dukhtar-E-Raaz Ko Na Munah Laga

Chut'ti Nahi Hai Monah Se Ye Kaafir Lagi Hoi............!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo