Hue Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu, Kahan Gaya Hai Mere Sheher K Musafir Tu


Poet: Ahmad Faraz

Hue Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu,

Kahan Gaya Hai Mere Sheher K Musafir Tu

Meri Misaal K Ik Nakhl-e-Khushk Sehra Hoon,

Tera Khayal K Shakh-e-Chaman Ka Tahir Tu

Main Janta Hoon K Duniya Tujhe Badal De Gi

Main Manta Hoon K Aaisa Nahi Bazahir Tu

Hansi Khushi Se Bichar Ja Agar Bicharna Hai

Ye Har Maqaam Pe Kia Sochta Hai Aakhir Tu

Faza Udaas Hai Dil Muzmahal Hai Main Chup Hoon

Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Tu

Faraz Tu Ne Us Se Mushkilo'n Mein Daal Dia

Zamana Sahib-e-Zar Aur Sirf Shaair Tu........!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo