Khamosh Hai Chaandni Qamar Ki, Shaakhein Khaamosh Hain Har Shajar Ki,

Poet;Allama Muhammad Iqbal

Type By

*._.Murtaza._.*

Aik Shaam Darya-E-Neckar Hiedel Berg K Kinaare

Khamosh Hai Chaandni Qamar Ki,

Shaakhein Khaamosh Hain Har Shajar Ki,

Wadi K Nawa Firosh Khaamosh ,

Kuhsaar K Sabz Posh Khaamosh,

Fitrat Be Hosh Ho Gai Hai,

Aaghosh Main Shab K So Gai Hai,

Kuch Aisa Sakoot Ka Fusoon Hai,

Neckar Ka Kharaam Bhi Sukoon Hai,

Taaron Ka Khaamosh Kaarwaan Hai,

Ye Qafla Be Dara Rawaan Hai,

Khaamosh Hain Koh-O-Dasht-O-Dariya,

Qudrat Hai Muraaqibe Main Goya,

Ay Dil Too Bhi Khaamosh Ho Ja,

Aaghosh Main Gham Ko Le Ke So Ja.........?

Book Name 

Bang E Dara

Page No 96-97

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai