Mein Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz. Mujhe Milla Nahi Wo Muqam Jis Pe Howe Mard Faaiz


Poet Ayaz Khan

Typ By

*.__Ayaz Khan__.*

Mein Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz.

Mujhe Milla Nahi Wo Muqam Jis Pe Howe Mard Faaiz.

Main Aaj Bhi Qaid Hon, Muqadr Meri Tanhaiyaan.

Izat Lutti Hai Meri Milti Hain Mujhe Ruswaiyaan.

Mard Zaat Ne Bana Rakha Hai Mujhe Khillona.

Kabhi Pair Ki Juti Kabhi Bestar Ka Bechona.

Sadiyon Se Meri Izat Hoti Rahi Taar Taar.

Main Roti Rahi Par Suni Na Meri Kisi Ne Pukaar.

Kabhi Rajaoon Ki Rahi Kaneez Kabhi Mandaroon Ki Dasi.

Mere Dil Mein Rahen Hasraten Aur Meri Roh Rahi Piyasi.

Kab Mile Gi Mujhe Rasam-O-Riwaaj Se Aazaadi.?

Ya Dulat K Liye Hoti Rahe Gi Meri Quran Se Shaadi.?

Main Ourat Zaat Hon Aur Beqasoor Hon.

Mein Ourat Hon Shayad is Liye Majboor Hon..!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo