Osi Tarha Se Har Ik Zakham Khushnamaa Daikhe, Wo Aaye To Mujhe Ab Bhi Haraa Bara Daikhe

Poet:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Osi Tarha Se Har Ik Zakham Khushnamaa Daikhe,

Wo Aaye To Mujhe Ab Bhi Haraa Bara Daikhe,

Guzar Gaye Hain Bohat Din Rafaqat-E-Shab Main,

Ik Umar Ho Gayi Chehra Wo Chand Sa Daikhe,

Mere Sakoot Se Jis Ko Gile Rahe Kia Kia,

Bichharrte Waqt Un Aankhoon Ka Bolna Daikhe,

Tere Sivaa Bhi Kayi Rang Khush Nazar Thay Magar,

Jo Tujh Ko Daikh Chuka Ho Wo Aur Kia Daikhe,

Bas Aik Rait Ka Zaraa Bacha Tha Aankhoon Main,

Abhi Talak Jo Musafir Ka Raasta Daikhe,

Osi Se Poochhe Koi Dasht Ki Rafaaqat-Jo,

Jab Aankh Khole,Pahaarron Ka Silsila Daikhe,

Tujhe Aziz Tha Aur Main Ne Us Ko Jeet Liya,

Meri Taraf Bhi To Ik Pal Tera Khuda Daikhe......!

Book Name

Sad Barg

Page No 159-160

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo