Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahista Aahista


Poet:Ameer Minai

Type By

*.__NOMI__.*

Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista

Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahista Aahista


Jawaan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda

Hayaa Yak-Lakht Aai Aur Shabaab Aahista Aahista


Shab-E-Furqat Ka Jaaga Hoon Farishto Ab To Sone Do

Kahein Fursat Main Kar Lena Hisaab Aahista Aahista


Sawaal-E-Wasl Par Un Ko Udoo Ka Khauf  Hai Itna

Dabe Hoonton Se Dete Hain Jawaab Aahista Aahista


Wo Bedardi Se Sar Kaatein "Ameer" Aur Main Kahon Un Se

Huzoor Aahista Aahista, Janaab Aahista Aahista...........!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo