Na shaaur mein jawaani, na khayaal mein rawaani Koi sun ke kya karey ga meri dukh bhari kahaani

 

Poet:Ahmad Nadeem Qasmi

Na shaaur mein jawaani, na khayaal mein rawaani

Koi sun ke kya karey ga meri dukh bhari kahaani

Na zawaal nagehaani, na urooj jawedaani

Meri zindagi ka unwaan, faqat aik lafz faani

Yeh shikast ka jahanum kahin phir bharrak na utthey

Mere ishq ke khandar par, na karein woh gulfishaani

Mujhe aur zindagi de, ke hai dastaan adhoori

Meri maut se na hogi, mere gham ki tarjumani


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo