Tujhe Kho kar bhi tujhe paaun jahaan tak dekhon Husn-e-yazdaan se tujhe husn-e-butaan tak dekhon

 

Poet:Ahmad Nadeem Qasmi

Tujhe Kho kar bhi tujhe paaun jahaan tak dekhon

Husn-e-yazdaan se tujhe husn-e-butaan tak dekhon

Tu ne yun dekha hai jaisey kabhi dekha hi na tha

Main toh dil mein tere qadmon ke nishaan tak dekhon

Sirf iss shauq mein puchhi hain hazaaron baatein

Main teraa husn, tere husn-e-bayaan tak dekhon

Waqt ne zehn mein dhundhla diye terey khadd-o-Khaal

Yun toh main Toote taaron ka dhuaan tak dekhon

Dil gaya tha toh yeh aankhein bhi koyi le jaata

Main faqat ek hi tasveer kahaan tak dekhon

Ek haqeeqat sahi firdaus mein hooron ka wajood

Husn-e-insaan se nipat loon toh wahaan tak dekhon


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo