Ajeeb karb main guzri,jahan jahan guzri
agarchay,chahnay walon k darmyan guzri
tamaam umr charag e umeed jaltay rahay
tamaam umr,umeedon k darmyan guzri
guzar gai jo teray saath,wo yadgaar rahi
teray begair jo guzri,bala e jaan guzri
mujhay sukoon muyassar naheen,to kia gham ha
gulon ki umr bhi to,kaanton k darmyaan guzri
ajeeb cheez ha ye gardish e halaat ,MOHSIN
kabhi zameen,to kabhi misl e aasman guzri
Comments
Post a Comment